Saturday, 4 June 2016

NOORE RAMZAN KI AMLIAT



Amal No 1

Ramzanul Mubarak Ka Chand Najar Atehi,Chand Ki Taraf Muh Karke Khare Hokar SURA FATAH 3 Dafa Tilawat Kare,Isse Sal Var Tamam Mali Paresani Se Allah Dur Rakhenge Aur Rizk Me Barakkat Paida Hogi.Awwal Akhir 11 Dafa Durud Sarif Parhe Aur Sura Khatam Hone Ke Baad Dua Kare.


Amal No 2

Ramzan Ki Pahli Din Se Ye Amal Jari Kare.Fazr Ki Namaz Khatam Hone Ke Baad Masjid Me Ya Ghar Akar Ye Amal Karsakte He.Awwal Akhir 7 Dafa Durude Ibrahim Aur Ek Martba SURA YASEEN Sarif Pura Parhna He.Parhne Ka Tarika Kuch Aisa He,Sura Yaseen Ki 7 Ayate He Jiske Akhir Me MUBEEN Se Wakf Hota He.Jab Aap Pahli MUBEEN  Pe Pohche To �YA WAHHBO� 256 Martaba Aur �YA LATEEFO� 129 Martaba Parhe.Istarah Dusri,Tisree,Total 7 MUBEEN Par Yahi Wazifa Dauhraye.Aap Ko Kaun Si Ayat Me MUBEEN Milega Ye Vi Batadeta Hu Take Apko Parhne Me Asani Ho.Ayat No 12 -17-24-47-60-69-77.Yani Darj Ki Gayi Ayate Karima Pe Aap Jab Pohche Tab Apko Ye Ism Jitni Tadad Me Maine Bayan Kiya Utni Tadad Me Parhna He.Aur Har MUBEEN Pe Isme Ilahi Parhne Ke Baad Dil Me Apna Maksad Yad Karna,Aur Maksad Hoga Rizk Me Barakkat Aur Tarakki.Fir Akhir Me 7 Dafa Durude Ibrahim Parhke Amal Mukammal Kare.

Ye Amal Ramzan Ke Baad Eid K Din V Kare Aur Total 41 Days Jari Rakhe.Yani Ramzan Ke Baad V 11 Din Parhna He,Insha Allah Is Amal Ki Fayz Apko Parhai Ke Darmiyan Hi Najar Ane Lagegi.

Ek Jaruri Bat Jolog Ye Umid Rakhte He Ke Umr Var Tangiye Rizk Na Ho Aur Kisi Ka Mohtaji Na Ho,Kavi Qarz Ka Sikar Na Ho To Ye Amal Ta Umr Jari Rakhe,Qasam Rabbul Ijjat Ki Aap Allah Ke Ilawa Kisi Ka Mohtaj Na Rahenge,Insha-Allah.